hain ashk meri aankhon mein qulzum se ziyaada
hain dagh mere sine mein anjum se ziyaada
sau ramz ki karta hai ishaare mein wo baaten
hai lutf KHamoshi mein takallum se ziyaada
juz sabr dila chaara nahin ishq-e-butan mein
karte hain ye zulm aur tazallum se ziyaada
mai-KHane mein sau martaba main mar ke jiya hun
hai qulqul-e-mina mujhe qum-qum se ziyaada
sau raqs se afzun hai pari-ru teri raftar
panw ki sada lakh tarannum se ziyaada
taklif-e-takalluf se kiya ishq ne aazad
mu-e-sar-e-shorida hain qaqum se ziyaada
mashuqon se ummid-e-wafa rakhte ho 'nasiKH'
nadan koi duniya mein nahin tum se ziyaada
Ghazal
Hain ashk meri aankhon mein qulzum se ziyaada
Imam Bakhsh Nasikh