hain aise bad-hawas hujum-e-bala se hum
apna samajh ke milte hain har aashna se hum
tufan se ulajh gae le kar KHuda ka nam
aaKHir najat pa hi gae naKHuda se hum
pahla sa wo junun-e-mohabbat nahin raha
kuchh kuchh sambhal gae hain tumhaari dua se hum
yun mutmain se aae hain kha kar jigar pe choT
jaise wahan gae the isi muddaa se hum
aane do iltifat mein kuchh aur bhi kami
manus ho rahe hain tumhaari jafa se hum
KHu-e-wafa mili dil-e-dard-ashna mila
kya rah gaya hai aur jo na mangen KHuda se hum
aadat si ho gai hai shikayat ki hamein
bezar to nahin hain tumhaari jafa se hum
pa-e-talab bhi tez tha manzil bhi thi qarib
lekin najat pa na sake rahnuma se hum
duniya se kuchh lagao na uqba ki aarzu
tang aa gae hain is dil-e-be-muddaa se hum
hote nashat-e-ishq se bhi faizyab 'arsh'
majbur hain magar dil-e-gham-ashna se hum
Ghazal
Hain aise bad-hawas hujum-e-bala se hum
Arsh Malsiyani