hain ab is fikr mein Dube hue hum
use kaise lage rote hue hum
koi dekhe na dekhe salha-sal
hifazat se magar rakkhe hue hum
na jaane kaun si duniya mein gum hain
kisi bimar ki sunte hue hum
rahe jis ki masihai mein ab tak
usi ke chaaragar hote hue hum
giran thi sae ki maujudgi bhi
ab apne aap se sahme hue hum
kahan hain KHwab mein dekhe jazire
nikal aae kidhar bahte hue hum
baDhin nazdikiyan is darja KHud se
ki ab us ka badal hote hue hum
rakhen kyunkar hisab ek ek pal ka
bala se roz kam hote hue hum
bahut himmat ka hai ye kaam 'shaariq'
ki sharmate nahin Darte hue hum
Ghazal
Hain ab is fikr mein Dube hue hum
Shariq Kaifi