اردو हिंदी
Hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi | Shaahi Shayari
hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi

Ghazal

Hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi

Hafiz Ludhiyanvi

;

hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi
wo aankh ki hai fitna-e-sad-hush-ruba bhi

hai kar-e-junun ahl-e-junun ke liye aasan
ye kaam kabhi ahl-e-farasat se hua bhi

taskin-e-dil-o-jaan hai agar wo ruKH-e-zeba
us qamat-e-zeba mein hai ek hashr chhupa bhi

jo samne aae to meri samt na dekhe
deta hai shab-e-hijr wahi mujh ko sada bhi

utre jo wo sine mein to ilham ki surat
Thahre to larazne lage shabnam ki rida bhi

uTThe to qayamat bhi qadam chum ke guzre
al-qissa wo andaz hai aafat bhi bala bhi

'hafiz' mere sine mein farozan hai abhi tak
wo dard sikhata hai jo jine ki ada bhi