hai ta-hadd-e-nazar nila samundar
badan mein phaDphaData hai kabutar
ab is ka nam tak baqi nahin hai
wahi jo ji raha tha mere andar
bata ai dil mere bujhte hue dil
ye kis aaseb ka saya hai tujh par
maani ka hai baatin se talluq
bahut kuchh kah gae chup chup se manzar
meri dahliz par chupke se 'pashi'
ye kis ne rakh di meri lash la kar
Ghazal
Hai ta-hadd-e-nazar nila samundar
Kumar Pashi