hai shart qimat-e-hunar bhi ab to rabt-e-KHas par
milega sang-e-dad bhi hawa ke ruKH ko dekh kar
kabhi hawa ka ajr hai kabhi ruton ka hai hunar
kahan hua hai aaj tak parind koi mo'tabar
kanar-e-ab KHun-chakan jabin to KHak ho chuki
ye kis ka aks paniyon mein phir uTha raha hai sar
hazar mein asir hun tere tilism-e-nutq ki
ye qufl-e-dil kahan khula kalid-e-harf se magar
hawa ka rizq ho chuke ujale meri rah ke
ki ab ke phir siyahiyon ki samt uTh gai nazar
wo jaega to is ke baad dukh hi ghar mein aaega
na jaane kis ummid par saje hue hain baam-o-dar

Ghazal
Hai shart qimat-e-hunar bhi ab to rabt-e-KHas par
Shahida Tabassum