اردو हिंदी
Hai shaiKH o barhaman par ghaalib guman hamara | Shaahi Shayari
hai shaiKH o barhaman par ghaalib guman hamara

Ghazal

Hai shaiKH o barhaman par ghaalib guman hamara

Shauq Bahraichi

;

hai shaiKH o barhaman par ghaalib guman hamara
ye jaanwar na char len sab gulsitan hamara

thi pahle to hamari pahchan sai-e-paiham
ab sar-barahnagi hai qaumi nishan hamara

har mulk is ke aage jhukta hai ehtiraman
har mulk ka hai father hindostan hamara

zagh o zaghan ki surat manDlaya aa ke paiham
custodian ne dekha jab aashiyan hamara

makr-o-dagha hai tum se ijz-o-KHulus hum se
wo KHandan tumhaara ye KHandan hamara

fariyaad mai-kashon ki sunta nahin jo bilkul
bahra zarur hai kuchh pir-e-mughan hamara

dar par hamare gum ho har ek hasin to kaise
har aastan se uncha hai aastan hamara

har tajwar ki is par lalcha rahi hain nazren
hai jaise halwa sohan hindostan hamara

ho gar tumhaari marzi to bahr-e-ranj-o-gham se
ho jae par beDa allah-miyan hamara

chah-e-zaqan se un ke sairab to hue hum
miThe kuon se achchha khaara kuan hamara

hon shaiKH ya barahman sab jaante hain mujh ko
hai 'shauq' nam-e-nami ai mehrban hamara