hai shahr-e-ulfat mein qadghanon se ajib KHauf-o-hiras rahna
KHizan ke aane pe yas chhae bahaar ho to pur-as rahna
kabhi kabhi koi bhejta hai nazar mein chahat ki phul kaliyan
mohabbaton ka nasib Thahra kabhi kabhi ka udas rahna
agar ye chaho ki zist guzre hansi KHushi ki phuwar mein hi
bahut zaruri hai ai 'zafar' ye tera bhi mausam-shanas rahna
Ghazal
Hai shahr-e-ulfat mein qadghanon se ajib KHauf-o-hiras rahna
Is.haq Zafar