hai samundar samne pyase bhi hain pani bhi hai
tishnagi kaise bujhaen ye pareshani bhi hai
hum musafir hain sulagti dhup jalti rah ke
wo tumhaara rasta hai jis mein aasani bhi hai
main to dil se us ki danai ka qael ho gaya
doston ki saf mein hai aur dushman-e-jaani bhi hai
paDh na pao tum to ye kis ki KHata hai dosto
warna chehra mushaf-e-amal-e-insani bhi hai
zindagi unwan jis qisse ki hai wo aaj bhi
muKHtasar se muKHtasar hai aur tulani bhi hai
ratjage jo banTta phirta hai sare shahr mein
wo fasil-e-KHwab mein barson se zindani bhi hai
be-tahasha wo to milta hai mohabbat se magar
kuchh pareshani bhi hai aur KHanda-peshani bhi hai
apna ham-saya hai lekin fasla barson ka hai
aisi qurbat itni duri jis mein hairani bhi hai
zindagi bhar hum sarabon ki taraf chalte rahe
ab jahan thak kar gire hain us jagah pani bhi hai
'ramz' teri tira-baKHti ki ye shab kaT jaegi
raat ke daman mein koi chiz nurani bhi hai

Ghazal
Hai samundar samne pyase bhi hain pani bhi hai
Ramz Azimabadi