hai nihayat saKHt shan-e-imtihan-e-ku-e-dost
zindagi se hath dho len sakinan-e-ku-e-dost
jab nahin pate pata na-waqifan-e-ku-e-dost
dard uTh uTh ke batata hai nishan-e-ku-e-dost
tang karte hain hamein kyun pasban-e-ku-e-dost
aur hain do-chaar din hum mehman-e-ku-e-dost
na-tawan ye aur manzil ishq ki dushwar-tar
chalte chalte thak na jaen rah-rawan-e-ku-e-dost
aarzu-e-wasl hai ab aur na furqat ka alam
shukr hai aaram se hain KHuftagan-e-ku-e-dost
kaun si ja hai asiran-e-mohabbat ke liye
kis liye jaen kahin wabastagan-e-ku-e-dost
ai 'rashid' ulfat mein jazb-e-dil salamat chahiye
DhunD hi lenge kisi surat nishan-e-ku-e-dost
Ghazal
Hai nihayat saKHt shan-e-imtihan-e-ku-e-dost
Rasheed Rampuri