اردو हिंदी
Hai mohabbat sab ko uske abru-e-KHamdar ki | Shaahi Shayari
hai mohabbat sab ko uske abru-e-KHamdar ki

Ghazal

Hai mohabbat sab ko uske abru-e-KHamdar ki

Imam Bakhsh Nasikh

;

hai mohabbat sab ko us ke abru-e-KHamdar ki
hind mein kya aabru baqi rahi talwar ki

wasl ki shab chandni diwar se jaane na pae
minnaten karta hun har KHar-e-sar-e-diwar ki

ustura phirne se ru-e-yar par hai daur-e-KHat
chaal us kam-baKHt ne sikhi hai kya parkar ki

nashsha-e-mai ka guman karne laga wo bad-guman
dekh kar surKHi hamare dida-e-KHun-bar ki

ghar bhi mera muntazir hai yar ka meri tarah
rauzan-e-dar mein hai surat dida-e-bedar ki

kahte ho hum KHwab mein aate jo tu sota kabhi
KHub ki barbaad mehnat dida-e-bedar ki

bagh-e-alam mein kahan hai koi mujh sa rahm-dil
roz karta hun ayaadat nargis-e-bimar ki

dagh-e-sar hain josh-e-sauda mein ba-rang-e-gul mujhe
misl-e-gulbun panw mein kab hai shikayat KHar ki

wo KHuda ka dost hai aur dost hai us ka KHuda
kyun na ho 'nasiKH' mohabbat haidar-e-karrar ki