hai mera rang-e-suKHan rang-e-bayan kuchh muKHtalif
ye nashat-e-dilbari tarz-e-fughan kuchh muKHtalif
dekhiye kis rah par chalta raha hai karwan
hain hamare raston par ye nishan kuchh muKHtalif
jo hamare zikr ko hum se bhi poshida rakhe
ab hamein bhi chahiye ek raaz-dan kuchh muKHtalif
ek an-jaani si chup hai chaar su phaili hui
chahiye ai mehrban! ek ham-zaban kuchh muKHtalif
hai nashat-e-wasl se sarshaar aalam hi sabhi
hum magar is hijr mein hain shadman kuchh muKHtalif
hum sunaen 'shahida' kis tarz se kis rang se
hai kahani muKHtalif ye dastan kuchh muKHtalif
Ghazal
Hai mera rang-e-suKHan rang-e-bayan kuchh muKHtalif
Shahida lateef