اردو हिंदी
Hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai | Shaahi Shayari
hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai

Ghazal

Hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai

Hamdam Kashmiri

;

hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai
kaam mera hai magar nam kisi aur ka hai

dhup thi sath jo din bhar wo kisi aur ki thi
kya dhundlaka bhi sar-e-sham kisi aur ka hai

sar pe rahta hai hamesha hi kisi ka saya
meri diwar pe ye baam kisi aur ka hai

main to KHud apne hi nashshe mein hun sarshaar bahut
hath mein hai jo mere jam kisi aur ka hai

jaane ye kaun dhaDakta hai mere sine mein
mere honTon pe rawan nam kisi aur ka hai

haif apne liye kuchh kar na saka mar kar bhi
lash meri hai to kohram kisi aur ka hai

mera har sans bhi KHud mera nahin hai 'hamdam'
ye badan aur ye ehram kisi aur ka hai