hai koi bair sa us ko meri tadbir ke sath
ab kahan tak koi jhagDa kare taqdir ke sath
mere hone mein na hone ka tha saman maujud
TuTna mera likha tha meri tamir ke sath
chhoD jate hain haqiqat ke jahan mein hamein phir
KHwab aate hi kahan hamein kabhi tabir ke sath
aadmi hi ke banae hue zindan hain ye sab
koi paida nahin hota kisi zanjir ke sath
jaante sab hain ki do gaz hi zamin apni hai
kaun KHush rahta hai lekin kisi jagir ke sath
sath 'ghaalib' ke gai fikr ki gahrai bhi
aur lahja bhi gaya 'mir-taqi-mir' ke sath
Ghazal
Hai koi bair sa usko meri tadbir ke sath
Rajesh Reddy