hai KHamoshi zulm-charKH-e-dew-paikar ka jawab
aadmi hota to hum dete barabar ka jawab
jo bagula dasht-e-ghurbat mein uTha samjha ye main
karti hai tamir diwani mere ghar ka jawab
sath KHanjar ke chalegi waqt-e-zabh apni zaban
jaan dene wale dete hain barabar ka jawab
sajda karta hun jo main Thokar lagata hai wo but
panw us ka baDh ke deta hai mere sar ka jawab
abr ke TukDe na uljhen meri mauj-e-ashk se
KHushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawab
wo khincha tha main bhi khinch rahta to banti kis tarah
sar jhuka deta tha qatil tere KHanjar ka jawab
jite-ji mumkin nahin us shoKH ka KHat dekhna
baad mere aaega mere muqaddar ka jawab
shaiKH kahta hai barhaman ko barhaman us ko saKHt
kaba o but-KHana mein patthar hai patthar ka jawab
roz dikhlata hai gardun kaisi kaisi suraten
but-tarashi mein hai ye kafir bhi aazar ka jawab
har jagah qabr-e-gada takiye mein har ja gor-e-shah
ek ghar is shahr mein hai dusre ghar ka jawab
jalwa-gar hai nur-e-haq hone se yaktai 'amir'
saya bhi hota agar hota payambar ka jawab
Ghazal
Hai KHamoshi zulm-charKH-e-dew-paikar ka jawab
Ameer Minai