hai jo diwar par ghaDi tanha
dekhti hun paDi paDi tanha
chand mein aks DhunDhti hun tera
rose aangan mein main khaDi tanha
sochti hun ki jald din nikle
raat itni lage baDi tanha
yaad karti hun apne mazi ko
haal ki qabr mein paDi tanha
sare apnon ki bhiD mein rah kar
apne haalat se laDi tanha

Ghazal
Hai jo diwar par ghaDi tanha
Siya sachdev