hai intizar muqaddar to intizar karo
par apne dil ki faza ko bhi KHush-gawar karo
tumhaare pichhe lagi hain udasiyan kab se
kisi paDaw par ruk kar inhen shikar karo
hamare KHwabon ka dar khaTkhaTati rahti hain
tum apni yaadon ko samjhao hoshiyar karo
bhali lagegi yahi zindagi agar us mein
KHayal-o-KHwab ki duniya ko bhi shumar karo
bharosa baad mein kar lena sari duniya par
tum apne aap par to pahle eatibar karo
Ghazal
Hai intizar muqaddar to intizar karo
Madan Mohan Danish