hai ibarat jo gham-e-dil se wo wahshat bhi na thi
sach hai shayad ki hamein us se mohabbat bhi na thi
zindagi aur pur-asrar hui jati hai
ishq ka sath na hota to shikayat bhi na thi
tujh se chhuT kar na kabhi pyar kisi se karte
dil ke bahlane ki lekin koi surat bhi na thi
ghor-andheron mein KHud apne ko sada de lete
rah chalte hue logon mein ye jurat bhi na thi
zid mein duniya ki bahar-haal mila karte the
warna hum donon mein aisi koi ulfat bhi na thi
mar miTe log sar-e-rah-guzar-e-ishq 'fuzail'
apne hisse mein ye chhoTi si saadat bhi na thi
Ghazal
Hai ibarat jo gham-e-dil se wo wahshat bhi na thi
Fuzail Jafri