hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain
ki dahan mushaf-e-natiq hai ye sipare hain
apni hasti mein to aasar-e-fana sare hain
sham ko zarre hain aur subh ko hum tare hain
kya hi harjai hasinan-e-jahan sare hain
ye wo aKHtar hain ki sabit nahin sayyare hain
zaiqa honTon ka badlega na missi maliye
hongi ye qand siyah ab to shakar-pare hain
baadshahon ki tarah phirte hain Danke dete
KHar-e-pa chob hain aur aable naqqare hain
chhup chale hain KHat-e-shab-rang se ruKHsar-e-sabih
din hai kam sham ke aasar ayan sare hain
saghar-e-chashm ke sau dene paDenge bose
shisha-e-dil kabhi toDa to ye kaffare hain
KHat pe KHat rose baha kar use pahunchate hain
ashk kahe ko hain ye Dak ke harkare hain
aab jari kiya eajaz se ai bahr-e-karam
ungliyan kahe ko hain nur ke fawware hain
mushaf-e-ruKH ko wo dikhlaen agar tison din
nai phabti mujhe sujhi kahun sipare hain
hath agar chhune se jal jae yad-e-baiza ho
lal-e-lab us but-e-kafir ke wo angare hain
raungTe kab hain in aainon mein hain paD gae baal
hath zanu pe kabhi yar ne de mare hain
pusht par hai jo sipar KHam hue ho tegh ki tarah
chaar phul us ke tumhein phulon ke pushtare hain
ru-ba-ru rahti hai taswir-e-tasawwur shab-o-roz
ab to be-minnat-e-KHalq aap ke nazzare hain
dekh kar tujh ko hasin kaTte hain bhule hain banaw
kanghiyan karte nahin sar pe rawan aare hain
dil pe jo guzri KHabar ashkon ne di aa ke 'wazir'
laeq-e-KHilat-e-rumal ye harkare hain
Ghazal
Hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi