hai ghalat-fahmi hawa ki us se Dar jata hun main
hausla ban kar charaghon mein utar jata hun main
nind ki aaghosh mein thak kar girun main jab kabhi
KHwab ji uThte hain mere aur mar jata hun main
ghar makinon se bana karta hai patthar se nahin
bas isi ummid par har rose ghar jata hun main
main ne tujh se kya kabhi puchha kidhar jati hai tu
ai shab-e-awara tujh ko kya kidhar jata hun main
mere jaane par na ho ghar ki udasi yun malul
tu agar ghabra gai hai to Thahar jata hun main

Ghazal
Hai ghalat-fahmi hawa ki us se Dar jata hun main
Asif Rasheed Asjad