hai dua honTon pe aur hain KHwahishen hathon ke bich
kaam duniya ke nikalte hain munajaton ke bich
sard nindon ki musalsal gir rahi hain pattiyan
kuchh safed aur kuchh siyah se KHwab hain raaton ke bich
lamha lamha paDti rahti hai dilon mein ek girah
tewari ek chal rahi hai raat din mathon ke bich
dekhti hai ghaur se har shai ko wo bimar aankh
ek gahra zard ashk hai us ki sab baaton ke bich
jab se nikle hain dilon ke kaam mein ghaTe bahut
hum hisab-e-dostan likhte hain ab khaton ke bich
ab to uThta ja raha hai mausamon se e'tibar
dil kisi sahra mein hai aur jism barsaton ke bich
mujh ko 'shahin' dukh bahut deti hai us ki ye ada
jaise wo hota nahin mil kar mulaqaton ke bich
Ghazal
Hai dua honTon pe aur hain KHwahishen hathon ke bich
Javed Shaheen