hai dil mein KHayal-e-gul-e-ruKHsar kisi ka
daghon sin mohabbat ke hai gulzar kisi ka
jata hai mera jaan nipaT pyas lagi hai
mangta hun zara sharbat-e-didar kisi ka
sab par hai karam mujh pe sitam kya hai do-rangi
dildar kisi ka hai dil-azar kisi ka
zanjir bhali qaid bhali maut bhi jyun-tyun
pan haq na kare kis kun giraftar kisi ka
main hun to diwana pa kisi zulf ka nain hun
wallah ki rakhta nahin yak tar kisi ka
yak dam to ham-aghosh karo ai gul-e-KHubi
ho jaunga ab nain to gale haar kisi ka
jhukta hai zara baad ke chalne mein zamin par
nargis hai magar bagh hai bimar kisi ka
lati hai KHabar yar ki mauj-e-dam-e-shamshir
kari hai magar dil mein mere war kisi ka
har raat 'siraj' aatish-e-gham mein na jale kyun
parwana-e-jaan-soz hai balhaar kisi ka
Ghazal
Hai dil mein KHayal-e-gul-e-ruKHsar kisi ka
Siraj Aurangabadi