hai chaman mein rahm gulchin ko na kuchh sayyaad ko
ab KHuda hi shad rakkhe bulbul-e-nashad ko
sujhti thi koh-o-sahra mein yahi har dam mujhe
kijiye gham qais ka aur roiye farhad ko
hichkiyan aati hain par lete nahin wo mera nam
dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko
yaad mein un ke hawas-e-KHamsa de dete hain hum
aah ko nale ko ghul ko shor ko fariyaad ko
jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki KHabar
aaegi bulbul mere ghar mein mubarakbaad ko
naza ke dam bhi unhen hichki na aaegi kabhi
yunhi gar bhule rahenge wo 'saKHi' ki yaad ko
Ghazal
Hai chaman mein rahm gulchin ko na kuchh sayyaad ko
Sakhi Lakhnvi