اردو हिंदी
Hai bais-e-sukun suKHan-war tumhaara nam | Shaahi Shayari
hai bais-e-sukun suKHan-war tumhaara nam

Ghazal

Hai bais-e-sukun suKHan-war tumhaara nam

Sahar Mahmood

;

hai bais-e-sukun suKHan-war tumhaara nam
leta hai is liye wo barabar tumhaara nam

mujh ko yaqin hai tum bhi bahut muztarib rahe
jab bhi liya hai main ne taDap kar tumhaara nam

uThta hai jab tabahi-e-dil ka kabhi sawal
aa aa ke Thahar jata hai lab par tumhaara nam

mere tamam sheron mein ek jaan si paD gai
likkhi ghazal jo zehn mein rakh kar tumhaara nam

kaise miTae mauj-e-hawadis tumhi kaho
hai naqsh zehn-o-dil pe gul-e-tar tumhaara nam

tahzib ke KHilaf hai izhaar-e-ashiqi
aata nahin hai is liye lab par tumhaara nam

ye sirf walihana mohabbat ki baat hai
meri suKHan-wari ka hai mehwar tumhaara nam

had-darja jaan-gudaz hain yaadon ke silsile
kaise 'sahar' bhulaega dilbar tumhaara nam