hai aarzu ki apna sarapa dikhai de
aaina dekhta hun ki chehra dikhai de
masruf is qadar the ki sawan guzar gaya
hasrat rahi ki abr barasta dikhai de
KHamosh hun ki bolna tohmat hai is jagah
jab dekhna nahin hai to phir kya dikhai de
socha tha bas ki zehn mein taswir ban gai
ab aankh kah rahi hai ki chehra dikhai de
ab dhul ki bajae dhuan hai fazaon mein
KHilqat pukarti hai ki sahra dikhai de
chehron ka rang zard hua dhup ki tarah
'shahid' kahin to abr ka TukDa dikhai de

Ghazal
Hai aarzu ki apna sarapa dikhai de
Saleem Shahid