اردو हिंदी
Hai aaina-KHane mein tera zauq-faza raqs | Shaahi Shayari
hai aaina-KHane mein tera zauq-faza raqs

Ghazal

Hai aaina-KHane mein tera zauq-faza raqs

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

;

hai aaina-KHane mein tera zauq-faza raqs
karte hain bahut se tere ham-shakl juda raqs

be-zaKHm sada dene lage saz ajab kya
gar karne lagen KHud-baKHud aalat-e-ghina raqs

ho gar na teri bagh mein aane ki tawaqqo
kyun sarw ko talim kare baad-e-saba raqs

wan qafila manzil pe bhi pahuncha magar ab tak
hum karte hain sahra mein ba-awaz-e-dara raqs

hai wadi-e-gham wo ki gar aa jaen idhar KHizr
rashe se kare hath mein hazrat ke asa raqs

maqul sahi wajd ka hila magar ai shaiKH
achchha nahin ba-in-hama-tamkin-o-haya raqs

yun hi to KHarabaat mein aao ki sarasar
ya baada hai ya bang hai ya naghma hai ya raqs

yan tum ko ye aawaz-e-daf-o-chang mubarak
be-kashmakash-e-KHirqa-o-tasbih-o-rida raqs

'nazim' tere ashaar mein hain mani-e-tauhid
is zamzame par karte hain mardan-e-KHuda raqs