hadd-e-fasil to faqat dard ka sahra nikli
chashm-e-afsurdagi-e-KHushk hi dariya nikli
su-ba-su bhaTke nigahon mein liye us ki si
ek surat bhi kisi dar na daricha nikli
hum ki mauhum si hasrat bhi liye phirte hain
kitne hain jin ki har ek KHwahish-e-beja nikli
ek zara Thes lagi TuT gai himmat-e-jaan
aahani jis ko samajhte the wo shisha nikli
chir kar parda-e-zulmat ko nida-e-ghaibi
raushni banTne duniya ko hamesha nikli
roz-o-shab ek nai ummid nai si uljhan
aazmaish jise samjhe the natija nikli
na-muradi ka hai kohra sa dil-o-zehn pe wo
koi KHwahish si to nikli hai magar kya nikli
umr bhar sath rahe yaad teri dukh ho ki sukh
kya samajhte the ise hum ye magar kya nikli
qarya-e-zar mein mila ye bhi nazara har su
dhup rangon ki liye duKHtar-e-hawwa nikli
Dar chaTakne ki KHushi par hi bikharne ka hua
bu-e-gul phuT ke jab ghuncha-ba-ghuncha nikli
KHwab yun bhi kabhi tabir mein apne na Dhale
zindagi apni kisi zist ka hissa nikli
kya sabab hai ki tula hai tu miTane pe hamein
aasman ek bhi kiya apni tamanna nikli
waqt ka koh-e-giran kaT ke farhad banun
kaamrani isi raste se hamesha nikli

Ghazal
Hadd-e-fasil to faqat dard ka sahra nikli
Quaiser Khalid