habs talluqat mein dur na ja idhar udhar
ghair hawa nahin ki bas chum liya idhar udhar
dekh rahi hai kisht-e-dil ashkon ki bewafaiyan
ab ke baras baras gai sari ghaTa idhar udhar
jaan meri shikast se shor tera hai har taraf
sath mere bikhar gai meri nawa idhar udhar
dil ko mere tera ye shauq tujh se bhi tha aziz-tar
teri gali ke aas-pas main jo raha idhar udhar
dekhiye kab kahan koi kaise ise uchhaal de
sikka-e-waqt par hain naqsh shah-o-gada idhar udhar
rah mein ruk ke kis liye puchhen kisi se rasta
KHwab ka ye safar hai aur KHwab mein kiya idhar udhar
hosh jo tha so ek umr mujh ko kahin na le gaya
kam to nahin ki le gaya us ka nasha idhar udhar
Ghazal
Habs talluqat mein dur na ja idhar udhar
Mohammad Aazam