hath sine pe mere rakh ke kidhar dekhte ho
ek nazar dil se idhar dekh lo gar dekhte ho
hai dam-e-baz-pasin dekh lo gar dekhte ho
aaina munh pe mere rakh ke kidhar dekhte ho
na-tawani ka meri mujh se na puchho ahwal
ho mujhe dekhte ya apni kamar dekhte ho
par-e-parwana paDe hain shajar-e-shama ke gird
barg-rezi-e-mohabbat ka samar dekhte ho
bed-e-majnun ko ho jab dekhte ai ahl-e-nazar
kisi majnun ko bhi aashufta-basar dekhte ho
shauq-e-didar meri nash pe aa kar bola
kis ki ho dekhte rah aur kidhar dekhte ho
lazzat-e-nawak-e-gham 'zauq' se ho puchhte kya
lab paDe chaTte hain zaKHm-e-jigar dekhte ho

Ghazal
Hath sine pe mere rakh ke kidhar dekhte ho
Sheikh Ibrahim Zauq