hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha
kya karta mujrim bhi to KHud apna saya tha
aisa hota kash kahin kuchh rang bhi mil jate
us ne mere KHwabon ka KHaka to banaya tha
ab tu bhi bahar aa ja yun jism mein chhupna kya
parda hi karna tha to kyun mujh ko bulaya tha
aaj ke mausam se be-sudh kuchh log kafan chehra
ab tak sahme baiThe hain tufan kal aaya tha
ji chahe to aur bhi ruk le palkon ki chhanw mein
main ne to tujh ko waqt ka bas ehsas dilaya tha
roz sawere virana bachta hai 'faraaz' aaKHir
hum ne raat bhi KHwabon mein ek shahr sajaya tha

Ghazal
Hath se aaKHir chhuT paDa patthar jo uThaya tha
Raees Faraz