han miyan sach hai tumhaari to bala hi jaane
jo guzarti hai mere dil pe KHuda hi jaane
dil se nikle kahin pa-bosi-e-qatil ki hawas
kash wo KHun ko mere rang-e-hina hi jaane
dil ki washud pe abas aah ne khinchi taklif
kholne uqde to ghunchon ke saba hi jaane
roz-o-shab naza mein hai aashiq-e-chashm-o-lab-e-yar
na to jina hi wo samjhe na fana hi jaane
hum to nit dur se KHamyaza-kash-e-hasrat hain
lazzat-e-bos-o-kanar us ki haya hi jaane
tere bimar ko kya howe shifa jis ke tabib
na to kuchh dard ko samjhe na dawa hi jaane
puchh is dil se jo hai kaT tere abru ka
jauhar-e-burrash-e-shamshir sipahi jaane
apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane
taur par apne suKHan kaun bura kahta hai
par ye andaz jo puchho to 'baqa' hi jaane
Ghazal
Han miyan sach hai tumhaari to bala hi jaane
Baqaullah u0027Baqau0027