han kahish-e-fuzul ka hasil bhi kuchh nahin
lekin hayat be-KHalish-e-dil bhi kuchh nahin
ab soch lo qadam hain ziyan-gah-e-shauq mein
kahna na phir ki jazba-e-kaamil bhi kuchh nahin
gahra sukut chap ki aawaz-e-bazgasht
rah mein bhi kuchh na tha sar-e-manzil bhi kuchh nahin
juz hirs-e-manfat tah-e-dariya bhi kuchh na tha
juz wahm-e-afiyat lab-e-sahil bhi kuchh nahin
sab jazb-e-arzu ki tamazat ka khel hai
dil sard ho to garmi-e-mahfil bhi kuchh nahin
badle to ek namuna-e-e'raaz-o-ehtiraaz
yun us nigah ki rah mein hail bhi kuchh nahin
'gauhar' KHala mein ghurte phirte ho ab kaho
kya sach hai bhulna use mushkil bhi kuchh nahin
Ghazal
Han kahish-e-fuzul ka hasil bhi kuchh nahin
Gauhar Hoshiyarpuri