haalat-e-harf kis ne jaani hai
ye jahan KHugar-e-maani hai
kya lage qimat-e-qaba-e-suKHan
ye nai ho ke bhi purani hai
ek duniya thi, jis ke malbe se
ek duniya mujhe banani hai
rah mein hai badan ki ek diwar
jo mujhe naKHunon se Dhani hai
ye jahan raqs mein nahin yunhi
sab mere KHun ki rawani hai
aur kuchh din hai ye fareb-e-visal
aur kuchh din ye KHush-gumani hai
surKH ho ai meri qamiz-e-safed
apni qimat mujhe baDhani hai
han tabiat to Thik hai meri
ek zara ranj-e-raegani hai
Ghazal
Haalat-e-harf kis ne jaani hai
Arif Imam