haalat-e-haal se begana bana rakkha hai
KHud ko mazi ka nihan-KHana bana rakkha hai
KHauf-e-dozaKH ne hi ijad kiya hai sajda
Dar ne insan ko diwana bana rakkha hai
mimbar-e-ishq se taqrir ki KHwahish hai hamein
dil ko is waste maulana bana rakkha hai
matam-e-shauq bapa karte hain har sham yahan
jism ko hum ne azan-KHana bana rakkha hai
waqt-e-ruKHsat hai mere chahne walon ne bhi ab
sans ko waqt ka paimana bana rakkha hai
jaante hain wo parinda hai nahin Thahrega
hum ne us dil ko magar dana bana rakkha hai
Ghazal
Haalat-e-haal se begana bana rakkha hai
Abbas Qamar