haalat se KHauf kha raha hun
shishe ke mahal bana raha hun
sine mein mere hai mom ka dil
suraj se badan chhupa raha hun
mahrum-e-nazar hai jo zamana
aaina use dikha raha hun
ahbab ko de raha hun dhoka
chehre pe KHushi saja raha hun
dariya-e-furaat hai ye duniya
pyasa hi palaT ke ja raha hun
hai shahr mein qaht pattharon ka
jazbaat ke zaKHm kha raha hun
mumkin hai jawab de udasi
dar apna hi khaTkhaTa raha hun
aaya na 'qatil' dost koi
sayon ko gale laga raha hun
Ghazal
Haalat se KHauf kha raha hun
Qateel Shifai