haal khulta nahin jabinon se
ranj uThae hain jin qarinon se
raat aahista-gam utri hai
dard ke mahtab zinon se
hum ne socha na us ne jaana hai
dil bhi hote hain aabginon se
kaun lega sharar-e-jaan ka hisab
dast-e-imroz ke dafinon se
tu ne mizhgan uTha ke dekha bhi
shahr KHali na tha makinon se
aashna aashna payam aae
ajnabi ajnabi zaminon se
ji ko aaram aa gaya hai 'ada'
kabhi tufan kabhi safinon se
Ghazal
Haal khulta nahin jabinon se
Ada Jafri