haal-e-dil kuchh jo sar-e-bazm kaha hai main ne
wo ye samjhe hain ki ilzam diya hai main ne
munh to phera hai kabhi ye bhi to socha hota
tumhein chaha hai tumhein pyar kiya hai main ne
la sakoge sar-e-peshani wo tabani-o-nur
tumhein ashaar mein jo baKHsh diya hai main ne
kya kahin sikh liye hain nae andaz-e-fareb
bandhte ho nae paiman ye suna hai main ne
tum ne duniya ki tarah aankh firai hai to kya
ye bhi ek jabr isi dil pe saha hai main ne
zabt ki dad na di koi zamane ne mujhe
KHun ka ghunT ba-har-haal piya hai main ne
ye gham-e-talKHi-e-dauran ye mohabbat ka junun
KHub ye dard bhi ek mol liya hai main ne
Ghazal
Haal-e-dil kuchh jo sar-e-bazm kaha hai maine
Sajjad Baqar Rizvi