haal-e-bedari mein rah kar bhi main KHwabon mein raha
jaise pyasa koi ek umr sarabon mein raha
meri KHushbu se moattar tha gulistan-e-wafa
KHar manind mera yar gulabon mein raha
guftugu tak rahi mahdud mulaqat apni
mera mahbub shab-e-wasl hijabon mein raha
ab mujhe KHak-nashini ka sharaf hasil hai
ye alag baat hai kal tak main nawabon mein raha
pyar hi pyar tha tahrir mere KHat mein magar
juz shikayat nahin kuchh us ke jawabon mein raha
main ne har haal mein parwaz ka sikha hai hunar
kaT gae par mere phir bhi main uqabon mein raha
ishq sabit hua nuqsan ka sauda 'arif'
sirf ghaTa hi mohabbat ke hisabon mein raha

Ghazal
Haal-e-bedari mein rah kar bhi main KHwabon mein raha
Syed Mohammad Askari Arif