guzro na is tarah ki tamasha nahin hun main 
samjho ki ab hun aur dobara nahin hun main 
ek taba rang rang thi so nazr-e-gul hui 
ab ye ki apne sath bhi rahta nahin hun main 
tum ne bhi mere sath uThae hain dukh bahut 
KHush hun ki rah-e-shauq mein tanha nahin hun main 
pichhe na bhag waqt ki ai na-shanas dhup 
sayon ke darmiyan hun saya nahin hun main 
jo kuchh bhi hun main apni hi surat mein hun 'alim' 
'ghaalib' nahin hun 'mir'-o-'yagana' nahin hun main
        Ghazal
Guzro na is tarah ki tamasha nahin hun main
Obaidullah Aleem

