guzarti hai jo dil par wo kahani yaad rakhta hun
main har gul-rang chehre ko zabani yaad rakhta hun
main aksar kho sa jata hun gali-kuchon ke jangal mein
magar phir bhi tere ghar ki nishani yaad rakhta hun
mujhe achchhe bure se koi nisbat hai to itni hai
ki har na-mehrban ki mehrbani yaad rakhta hun
kabhi jo zindagi ki be-sabaati yaad aati hai
to sab kuchh bhul jata hun jawani yaad rakhta hun
mujhe malum hai kaise badal jati hain tariKHen
isi KHatir to main baaten purani yaad rakhta hun
Ghazal
Guzarti hai jo dil par wo kahani yaad rakhta hun
Fazil Jamili