guzarna hai ji se guzar jaiye
liye dida-e-tar kidhar jaiye
khule dil se milta nahin ab koi
use bhulne kis ke ghar jaiye
subuk-rau hai mauj-e-gham-e-dil abhi
abhi waqt hai par utar jaiye
ulaT to diya parda-e-shab magar
nahin sujhta ab kidhar jaiye
ilaj-e-gham-e-dil na sahra na ghar
wahi hu ka aalam jidhar jaiye
isi moD par hum hue the juda
mile hain to dam bhar Thahar jaiye
kaThin hain bahut hijr ke marhale
taqaza hai hans kar guzar jaiye
ab us dar ki 'aKHtar' hawa aur hai
liye apne sham-o-sahar jaiye
Ghazal
Guzarna hai ji se guzar jaiye
Akhtar Saeed Khan