اردو हिंदी
Guzar rahi hai magar KHase iztirab ke sath | Shaahi Shayari
guzar rahi hai magar KHase iztirab ke sath

Ghazal

Guzar rahi hai magar KHase iztirab ke sath

Fuzail Jafri

;

guzar rahi hai magar KHase iztirab ke sath
KHayal bhi nazar aane lage hain KHwab ke sath

talash mein hun kisi khurdure kinare ki
nibah ab nahin hota hubab-o-ab ke sath

shab-e-firaq hai 'sidhdhaarth' ki tarah gum-sum
hawas bhi hue ruKHsat tere hijab ke sath

talluqat ka tanqid se hai yarana
kisi ka zikr kare kaun ehtisab ke sath

juDi hui hai har ek shaKHs ki 'fuzail' yahan
gharaz kisi na kisi sahab-e-nisab ke sath