guzar raha hun siyah andhe faslon se main
na ab hun rah se ibarat na manzilon se main
kahan kahan se alag kar sakoge tum mujh ko
juDa hua hun yahan lakh silsilon se main
qadam milane mein sab kar rahe the quwwaten sarf
mila hun rah mein kitne hi qafilon se main
main us ke panw ki zanjir dekhta tha bahut
kuchh aashna na tha apni hi mushkilon se main
ajib log hain kuchh kah do man lete hain
hua hun zer bahut zud qatilon se main
kaho to sath baha le chalun ye dukh bhare shahr
guzar raha hun ajab KHasta sahilon se main
main kyun burai sunun doston ki ai 'bani'
alag nahin unhin khoTe khare dilon se main
Ghazal
Guzar raha hun siyah andhe faslon se main
Rajinder Manchanda Bani