guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai
qamar ka nur shab ki zulmaton mein hi nikharta hai
ba-juz dard-e-hayat-e-gham nahin milta kahin kuchh bhi
bashar duniya-e-fani mein jahan se bhi guzarta hai
gulon ki pattiyan jaise gulon se ruTh jati hain
dam-e-tanhai-e-gham kuchh mera dil yun bikharta hai
ba-surat qatra-e-shabnam hun main KHar-e-gulistan par
mera dil zahmat-e-mehr-e-daraKHshan se bhi Darta hai
ye dekha hai nahin be-faiz aamad abr-e-naisan ki
koi anjam hota hai bashar jo kuchh bhi karta hai
farishton ka guzar jin manzilon se ghair-mumkin hai
bashar ki azmaten dekho wahan se bhi guzarta hai
nikohish naKHun-e-nadan pe qabu pa hi jati hai
baDa parhez karte hain kahin tab zaKHm bharta hai
sambhal ai firqa-e-ushshaq ab phir imtihan hoga
sar-e-chilman kisi kafir ka phir gesu sanwarta hai
ulajhte hain tere kuche mein jo murgh-e-chaman ke pair
dam-e-parwaz gulshan se kisi ka dil bhi bharta hai
fana karta hai pahle zindagi ki har tamanna ko
kahin tab ja ke insan pasti-e-gham se ubharta hai
isi bais wufur-e-gham mein aksar 'naz' hanste hain
musibat aur baDhti hai jo gham se jitna Darta hai

Ghazal
Guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai
Naaz Muradabadi