اردو हिंदी
Guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna | Shaahi Shayari
guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna

Ghazal

Guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna

Jurat Qalandar Bakhsh

;

guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna
qaid-KHana hai ajab gumbad-e-be-dar apna

shakl rahne ki hai basti mein ye us bin apni
jaise jangal mein banata hai koi ghar apna

shab ki be-tabiyan kya kahiye ki dekha jo sahar
TukDe TukDe nazar aaya hamein bistar apna

ham-nashin us ko jo lana hai to la jald ki hum
thame baiThe rahen kab tak dil-e-muztar apna

wo gae din ki sada mai-kada-e-hasti mein
baada-e-aish se labrez tha saghar apna

tab-e-nazzara teri lae na KHurshid zara
hath jab tak ki na rakh le wo jabin par apna

denge sar ishq ke saude mein agarche hum ko
is mein nuqsan nazar aata hai sarasar apna

hai zamin KHub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye
bas ki mamul hai 'jurat' yahi akasr apna