guzar gai hai abhi saat-e-guzishta bhi
nazar uTha ki guzar jaega ye lamha bhi
bahut qarib se ho kar guzar gai duniya
bahut qarib se dekha hai ye tamasha bhi
guzar rahe hain jo bar-e-nazar uThae hue
ye log mahw-e-tamasha bhi hain tamasha bhi
wo din bhi the ki teri KHwab-gin nigahon se
pukarti thi mujhe zindagi bhi duniya bhi
jo be-sabaati-e-alam pe bahs thi sar-e-bazm
main chup raha ki mujhe yaad tha wo chehra bhi
kabhi to chand bhi utrega dil ke aangan mein
kabhi to mauj mein aaega ye kinara bhi
nikal dil se gae mausamon ki yaad 'ajmal'
teri talash mein imroz bhi hai farda bhi
Ghazal
Guzar gai hai abhi saat-e-guzishta bhi
Ajmal Siraj