guzar chuke hain badan se aage najat ka KHwab hum hue hain
muhit sanson ke par ja kar bahut hi nayab hum hue hain
kisi ne hum ko ata nahin ki hamari gardish hai apni gardish
KHud apni marzi se is jahan ki ragon mein girdab hum hue hain
ajib khoe hue jahanon ki gunj hai apne gumbadon mein
na jaane kis ki samaaton ke mazar ka bab hum hue hain
jo hum mein mismar ho chuka hai usi se tamir hai hamari
adam ke patthar tarash kar hi abad ki mehrab hum hue hain
tamam sathen ulaT rahi hain hayat ki maut ki KHuda ki
jo tere dil se ubhar ke aate hain aise sailab hum hue hain
'riyaz' Dar hai kahin na aankhon ki kashtiyon mein chhupe samundar
jumud TuTa hai sari maujon ka aise be-tab hum hue hain
Ghazal
Guzar chuke hain badan se aage najat ka KHwab hum hue hain
Riyaz Latif