guzar chuka hai jo lamha wo irtiqa mein hai
meri baqa ka sabab to meri fana mein hai
nahin hai shahr mein chehra koi tar o taza
ajib tarah ki aaludgi hawa mein hai
har ek jism kisi zawiye se uryan hai
hai ek chaak jo maujud har qaba mein hai
ghalat-rawi ko teri main ghalat samajhta hun
ye bewafai bhi shamil meri wafa mein hai
mere gunah mein pahlu hai ek neki ka
jaza ka ek hawala meri saza mein hai
ajib shor machane lage hain sannaTe
ye kis tarah ki KHamoshi har ek sada mein hai
sabab hai ek hi meri har ek tamanna ka
bas ek nam hai 'asim' ki har dua mein hai
Ghazal
Guzar chuka hai jo lamha wo irtiqa mein hai
Asim Wasti