gunge labon pe harf-e-tamanna kiya mujhe
kis kor-chashm-shab mein sitara kiya mujhe
zaKHm-e-hunar ko samjhe hue hai gul-e-hunar
kis shahr-e-na-sipas mein paida kiya mujhe
jab harf-na-shanas yahan lafz-fahm hain
kyun zauq-e-sher de ke tamasha kiya mujhe
KHushbu hai chandni hai lab-e-ju hai aur main
kis be-panah raat mein tanha kiya mujhe
di tishnagi KHuda ne to chashme bhi de diye
sine mein dasht aankhon mein dariya kiya mujhe
main yun sambhal gai ki teri bewafai ne
be-e'tibariyon se shanasa kiya mujhe
wo apni ek zat mein kul kaenat tha
duniya ke har fareb se milwa diya mujhe
auron ke sath mera taaruf bhi jab hua
hathon mein hath le ke wo socha kiya mujhe
bite dinon ka aks na aainda ka KHayal
bas KHali KHali aankhon se dekha kiya mujhe
Ghazal
Gunge labon pe harf-e-tamanna kiya mujhe
Parveen Shakir