اردو हिंदी
Ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain | Shaahi Shayari
ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain

Ghazal

Ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain

Jaleel u0027Aaliu0027

;

ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain
tere ham-rah rahne ko qadam kotah rakhte hain

andheron mein bhi gum hoti nahin samt-e-safar apni
nigahon mein firozan ek shabih-e-mah rakhte hain

ye duniya kya hamein apni Dagar par le ke jaegi
hum apne sath bhi marzi ki rasm-o-rah rakhte hain

wo diwar-e-ana ki oT kis kis aag jalta hai
dil o dida ko sab ahwal se aagah rakhte hain

Dar-o-bast-e-jahan mein dekhte hain saqm kuchh 'ali'
aur apni soch ka ek naqsha-e-islah rakhte hain